WhatsApp Video Calling Feature कैसे Use करे
Ager aap WhatsApp use karte
hai to aap WhatsApp ke Video Calling Feature ke Bare mai bhi jante honge Or
ager aap WhatsApp Video Calling Feature ke bare mai nahi jante hai to is
article mai di gayi jaankari aap ke liye upyogi sid hogi. Aaj bhi bahut se log WhatsApp
ka use to kafi time pahle se kar rahe hai par unko WhatsApp Video Calling
Feature ke bare mai kam hi pta hai ya bahut se logo ko pta hone par bhi use
karna nahi aata.
Aaj Gyani Master Team Aapko
‘WhatsApp Video Calling Feature kaise use kare’ ki Complete jaankari dene ja
rahi hai. Aap bhi ager is Feature ka use karna sikhna chahte hai to aap is
article ko last tak pade. Hame puri umed hai article ko last tak padne ke baad
aap WhatsApp Calling Feature ka easily use kar payege.
WhatsApp Kya hai ?
WhatsApp ke Bare mai kon nahi
janta lagbag har dusre person ko whatsApp ke bare mai pta hai. But fir bhi mai
aapko WhatsApp basic Detail de raha hu. WhatsApp World mai sabse jada use kiya
jane vala smartfone messenger App hai.
Aap Android, iPhone, Window operating system mai WhatsApp ka use kar aapas mai
apne dosto se message mai baat kar sakte hai, Aapas mai Voice call kar sakte hai
,Audio message send kar sakte ho, Aap apne friend ko Whatsapp se Picture,
Document, Location, Contact Etc bhi share kar sakte hai.
Sath hi WhatsApp Team ne apne
users ke liye haal hi mai WhatsApp Video Calling Feature bhi add kiya hai jiska use kar aap
easily video calling bhi kar sakte hai.Ager aapko is feature ka nahi pta to aap
niche diye gaye step follow kar WhatsApp Video Calling Feature ka Use kaise
hota hai jaan sakte hai ( Whatsapp ke taja sarvey mai WhatsApp Video calling
feature ka sab se jada use India mai ho raha hai).
WhatsApp Video Calling Feature ka Use kaise Kare
ü
WhatsApp Calling
Feature ka use karne ke liye sabse pahle Whatsapp ko latest version mai Update
kare or ager ager aapka Whatsapp already updated hai to Whatsapp Open kare.
ü
WhatsApp Open karne
ke baad aapko jis person ko bhi video call karna hai uski DP ( Profile Picture) par
Tap kijiye.
ü
Tap karte hi
aapko Profile Picture kuch essi dikayi degi
ü
Ab Aap Profile
Picture ke niche diye Video Call ke Icon par click kijiye.
ü Video Call Icon par
click karte hi aap or aapke Friend, Relative Etc ke sath Video Calling start ho
jayegi.
ü
Ab Ager Aapka friend video call accept karta hai to aap or aapka friend video calling se
connect ho jayege
Aap in sabhi step ko follow
kar easily WhatsApp Calling Feature ka use kar sakte hai. Ager aapko Video
Calling Feature se related koi bhi confusion hai to aap hamse comment ke dwara
discuss kar sakte hai
Aapko hamari ‘ WhatsApp
Caling Feature Kaise Use Kare’ article pasand aaya hai to aap article share
jarur kare or Hamse judne ke liye aap Gyani Master Facebook page par Like
kare. Twitter par follow kare. Aap Email Subscribe box mai Email ke dwara bhi
hamse jud sakte hai.
whatsapp video call mai mera face 1/4 dikhta hai to use kese badhaya jai
ReplyDeletelaptop ma video calling kase kra
Delete