Smart Fone की Battery Life कैसे बढ़ाए
Ager aapke fone ki battery
jaldi low ho jati hai ya fir aapke fone ki battery 2 hour se jada nahi chal
pati to aaj ham aapko “fone ki battery life kaise badaye” ki jaankari de rahe hai. Aesa bahut se
android fone ke sath hota hai jab aap new android fone karid kar late hai to
kuch time baad hi aap fone ki low battery problem ko face karne lagte hai.
kabhi kabhar aesa fone battery ki inbuilt problem ke karan hota hai par adiktar
deka gya hai fone ki battery low hone ki problem ko ham kud hi generate karte
hai.
Aaj gyanimaster.com aapko esi
hi kuch basic tips dene ja rahi hai. Ager aap in tips ko sahi se follow karege
to aap definitely android ya kisi bhi fone ki low battery problem ko aasani se
solve kar payege or fone ki battery ki life bda payege.
Smart Fone ki Battery Life Badane ke basic Tips
Aap gyanimaster.com
ki btayi ja rahi tips ko apna kar fone ki battery life increase kar sakte hai.
Bass aapko niche di gayi tips ko ache se follow karna hai.
1.
Battery ko 100% Charge Kare
Ji ha dosto.. Ager aap fone
ki battery ko 100% charge nahi karte hai to aapki battery ke kraab hone ki
aasnka bad jati hai sath hi aapke fone ki battery sahi se kaam bhi nahi kar
pati hai. Ager aap Battery ko 100% charge nahi
karte hai to aapki fone ki battery ke sath sath aapka fone bhi kraab ho sakta
hai. To dosto aap jab bhi fone ki battery charge kare to is baat ka jarur kyaal
kare ki battery full charge ho gayi hai ya nahi. Aap Charger ko fone se tabhi
remove kare jab fone ki battery fully charged ho jaye. Fone ki battery ko fully
charged kar aap fone ki battery life ko increase kar sakte hai.
2. Background App ko Close Rakhe
Aap playstore se bahut se App
download karte hai. Inme se kuch esse App hote hai jinki aapko jaankari hoti or
sath hi bahut se aese bhi app hote hai jinki aapko kam jankari hoti hai. Ager
aap apne Android fone mai Navigation jaise ya clean master jaise App download
karte hai to aapko in Apps ko automatic run nahi krana chahiye. Aapko jab
jarurat ho tabhi in aap ko open kare or otherwise aap in App ko close hi rakhna
chahiye. Kyuki is trah ke App aapke properly close na karne ke karan background
mai run hote rahte hai jo aapke fone ki lagbag 60% battery ko use kar lete hai
or aapke fone ki battery jaldi hi low battery signal dene lagti hai.
3. Fone mai Unwanted App use Karna
ji ha.. Ager aap apne fone
mai daily App install ya uninstall karte hai to ye bhi ek karan aapke fone ki
battery ko low kar sakta hai. kyuki kayi baar ham jaldi jaldi mai jo App kam ki
nahi bhi hoti or usko download kar lete hai jis karan ye aap automatic run hoti
rahti hai or aapki battery ka use karti hai. Gyanimaster.com ki salah hai aap
unwanted App ko fone mai install na kare.
4.
Wifi ko On Rakhna
Jab aapko wifi ki jarurat ho
aap tabhi Android Fone mai wifi button ko on kijiye otherwise aap wifi ko off hi
rakhe. Kyuki sirf wifi connection hi aapke fone ki 40% ya is se bhi jada
battery 1 hour mai hi use kar leta hai. ham free net ke chalte wifi ko on rakhte
hai jis se ki koi wifi connection catch ho jaye or ham free data use kar sake.
Par kya aapko pta hai aap 50mb ya 100mb ke lalach mai apne fone ki battery ko
kraab kar rahe hai. Ho sake to aapko essa karne se bachna chahiye or Apne Android Fone ke wifi feature ko jarurat padne par hi use karna chahiye.
5.
Bluetooth
Connection ko On Rakhna
Ji hai dosto.. Kayi baar ham
Apne Android Fone ka Bluetooth on kar dete hai or off karna bul jate hai. Jis
se Bluetooth Connection bhi battery ki power ko use karta rahta hai or battery
2 hour mai hi low signal de jati hai. Aapko fone mai Bluetooth ko jarur check
karte rahna chahiye kahi galti se Bluetooth Connection on to nahi hai or Ager
on milta hai to usko turant off kar dena chahiye
Final Words…
Aap GyaniMaster.Com dwara
btayi gayi tips ko follow kar easily apne fone ki battery life ko bada sakte
hai. Ager aap ‘Smart Fone ki battery life kaise badaye’ se related or bhi jaankari
hasil karna chahte hai to aap Comment ke dwara hamse puch sakte hai.
Ager Aap hamse judna chahte
hai to aap Email Subscribe box ka use kar hamse jud sakte hai. Aap hame
facebook page or twitter se bhi follow kar sakte hai. Ager aapko ye jaankari
achi lagi hai to is Post ko share jarur kare…
Bahut Achi Post Hai
ReplyDeleteThnks Dilip Mothariya.
Delete