Ager aap bhi apne Gmail Account mai unwanted emails ko lekar paresan hai to ye Post aap hi ke liye hai. Aaj mai
aapko ‘Gmail Account Se Unwanted Emails Unsubscribe Kaise kare’ ki complete details
dene ja raha hu. Ager aap apni Gmail Id se Unwanted Emails ko Unsubscribe karna
chahte hai to aapko ye post jarur padni chahiye.
Kabhi Kabhi aap kisi Discount
coupan, Free Recharge, Ebook, Other Offers etc related email subscriptions ko
subscribe kar lete hai. Kuch time baad aapke Gmail Account par in sabhi site se Junk
Emails send hone lagte hai jo aapko irritate kar sakte hai.
Aap in Junk Emails se picha
chudana chahte hai par aapko Unwanted Emails Unsubscribe ki complete details na
hone ke karan aap in sabhi emails ko Unsubscribe nahi kar pate.
Ager aap in sabhi Emails ko
unsubscribe karna chahte hai to aap Gyanimaster Team ke bataye gaye sabhi step
ko follow kare. Ager aapne in sabhi step ko ache se follow kiya to aap aasani
se Unwanted Emails Unsubscribe kar payege.
Gmail Unwanted Email Unsubscribe Tips
Ager aapki bhi Gmail id mai
unwanted email aate hai to aap in tips ko follow kar Unwanted Email ko
Unsubscribe kar sakte hai. kayi baar apne deka hoga bahut se unwanted email ko
unsubscribe karne ka link diya jata hai. Aap is pic mai dek kar ache se samaj jaye ge.
Par har service mai is type
ka link nahi show hota jiska use kar aap easily email unsubscribe kar sakte
hai. Par aaj mai aapko kuch essi Tips& Tricks batane ja raha hu jinka use
kar aap un sabhi unwanted emails ko bhi unsubscribe kar sakte hai jinka
unsubscribe link show nahi hota.
Unroll.me : Unwanted Email Newsletters Free Website
Unroll.me ek Free website hai jiska use kar
ham Unwanted Email ko Unsubscribe kar sakte hai. Unroll.me site aapke Gmail
Account ke sath connect ho jati hai or aapke dwara kiye gaye sabhi Subscribe
Newsletter ko show karti hai jinke sath aap connect hai or aap easily Unroll.me
ka use kar Unwanted Email Newsletter ko Unsubscribe kar sakte ho.
ü Unroll.me par jaye or Get Started Now par click kare
ü Get Started Now par click karne ke baad aap Sign up
kare
ü Sign up karne ke baad aap Unroll.me aapke Gmail
Account ko access karne ke liye Authenticate ke liye puchega.
ü Authenticate par ok karne ke baad aapka Inbox Scan
hona suru ho jayega.
ü Jab Scan complete ho jayegi to aap ‘Continue to Next
Step’ par click kare
ü Ab jo page open hoga usme aapke subscribe kiye gaye
sabhi Emails Newsletter ki list show hogi
ü Aap is list mai diye gaye unsubscribe button ka use
kar easily Unwanted Email Unsubscribe kar sakte hai. ya Rollup mai bhi add kar sakte hai.
Aap har ek news letter ko dek kar hi unsubscribe kare
kyuki ye jo list show hoti hai isme useful newsletter Jaise
paypal,paytm,Linkdin etc ki list bhi hoti hai kahi aapne galti se inme se kisi
Email Subscribe ko Unsubscribe kar diya to aapke important email bhi show hona
band ho sakte hai.
Yadi apko Gyanimaster Team ka ye post acha laga hai to
aap Please is post ko jarur share kare or apne Friend ko bhi ‘Gmail Account se
Unwanted emails Unsubscribe kaise kare’ ki jankari de or Hamse judne ke liye
aap Email Newsletter par subscribe kare. Aap Facebook page, Twitter, Google +
se bhi hamse Connect ho sakte hai.
Aapne Bahut Hi Achi Post Share Ki Hai
ReplyDeletethnks
DeleteTHNKSSS
ReplyDelete