Breaking

Bounce Rate क्या है और Bounce Rate कम कैसे करे

Bounce Rate Kya hai or Bounce Rate Kam Kaise Kare

Bounce Rate क्या है और Bounce Rate कम कैसे करे


Friend is Article mai ham SEO ke important Factor Bounce Rate ke bare mai janege. Bounce Rate kya hai, Bounce Rate kam kyu karni chahiye or Bounce rate kam kaise karte hai ki complete details is article mai aapko mil jayegi par aapko is article ko last tak padna hoga.

Bounce Rate hamari site ka ek important factor hai or Bounce Rate Achi kiye bina ham ‘SEO’ ko sahi dang se manage nahi kar sakte. Ager ham apni site par acha traffic prapt karna chahte hai to hame Bounce Rate par khasa diyan dena hoga. Hame apni site ki bounce rate ko jitna ho sake kam se kam karna hoga. Bounce Rate ko kam karne se hame kayi benefit milte hai. Bounce rate kam hone se hamari site Google Search mai top par rank karti hai. Site ki Page Authority bhi positive way mai badti hai or site se hone vali hamare income mai bhi ijafa hota hai.


Bounce Rate Kya hai or Bounce Rate Kam Kaise Kare

Bounce Rate Kya hai?


Jab visitor hamari site par visit karte hai to vo hamari post padte hai ager vo visitor hamari site par ruk kar ek page se dusre page par visit karte hai ya ek hi post pad kar site leave kar dete hai ya site ko ek ya do second tak hi visit kar leave kar dete hai to in sabhi criteria ko dyaan mai rakh kar ek rate banayi jati hai ishi rate ko Bounce rate kahte hai.

Bounce Rate ke kam hone par hame SEO mai  benefit milta hai or jada hone par hame SEO mai loss hota hai. Maan lo jaise aapki site par aaye visitor ek hi page ko pad kar aapki site ko leave kar rahe hai to is situation mai aapki bounce rate percentage 60% to above rahne ke chance hai jo SEO ke liye bilkul bhi tik nahi hai or Ager aapki site par aaye visitor ek page se dusre page par visit kar rahe hai sath hi aapki site par jada der tak ruk rahe hai to aapki site ki bounce rate percentage 40% ya is se bhi kam ho sakti hai joki SEO fector mai acha response deti hai or ager aapki site ki bounce rate 30% se bhi kam ho jaye to isse aapki site ko SEO mai ultimate benefit milta hai. Aapko itna to samaj aa hi gya hoga ki jitna bounce rate kam hota hai aapki site ke liye utna hi badiya hota hai.


Bounce Rate Ko Kam Kaise Kare?


Bounce Rate ko kam karne ke liye aapko kayi sare factor par kaam karne ki jarurat hoti hai. Kyuki jaisa maine upar paragraph mai bataya hai ki bounce rate kayi sare factor ko mila kar banayi gayi rate hoti to aapko un sabhi factor par kaam karna hota hai jo bounce rate ko kam karne mai important role play karte hai.Yaha mai aapko kuch major factor ke bare mai bta raha hu jinko aap sahi manage kar aasani se bounce rate ko kam kar sakte hai.


1.     Quality Content

Ager aap apni website ko famous karna chahte hai or apni site ko ek brand banana chahte hai to vo jab tak possible nahi ho sakta jab tak aap site par quality post na kare. Kyuki kisi bhi site ka famous hona ya fail ho jana uske content par hi nirbar karta hai. Ager aapki site par publish kiya gya content unique(Quality Content) hoga tabhi aapka content Google mai first page par rank karega sath hi Quality Content aapki  site ki Bounce Rate ko bhi kam karne mai important role play karta hai or kon visitor unique content ko padna nahi chahega. Ager aap Quality Content post karege to definitely aapki site par aaya visitor aapki site par der tak ruke ga or Article ko pura pad kar hi visit karega jis se aapki bounce rate kam hone ka 100% chance ban jayega.


2.     Page Load Time


Page Load Time kisi bhi website ke liye bahut hi jada important factor hai sath hi Page Load Time Search Engine mai bhi high rank dilane ka bhi kaam karta hai. kyuki aapne dekha hoga jab aap google par kuch search karte hai to search kiya gya material jo first page mai top par show hota hai usme jaise hi aap entry karte hai to Page Load 2 second ya isse bhi kam time mai open ho jata hai or aap us article ya jo  bhi aapne search kiya use pad pate hai or tik iske ulat ager koi page load hone mai time lgata hai to aap us site par visit karna pasand nahi karte. Tik ishi trah aapki site ka bhi Page Load time kaam karta hai ager aapka page load time 2 ya 3 second ke bich hoga to aapki site par visitor baar baar aana pasand karege or sath hi aapki site ki Bounce Rate bhi kam hogi.

3.     Site Design


Ager aapki site ka Design simple ya irritating hai to visitor aapki site par visit karna pasand nahi karte. Kyuki site ka acha design hi visitor ko attract kar sakta hai. Aapko apni site ka Design ya to Professional Website Designer se karana chahiye ya fir ager aapko designing aati hai to aap kud se bhi design kar sakte hai.
Sath hi site ka best design aapko Bounce Rate mai bhi positive response deta hai. kyuki jab koi new visitor aapki site par aata hai to firstly vo aapki site ka design hi dekta hai.Ager aapki site ka design best hoga to vo visitor aapki site par baar baar aayega jis se aapki bounce rate kam hogi or bounce rate kam hone ke benefits to aap jante hi hai.

4.     Add Other Post Link


Ager aap apni new post par other post ka link add karte hai to ye bhi aapko  bounce rate mai fayda deta hai. Kyuki jab aap apne article mai ushi article se related other post ka link add karte hai to aapka topic bilkul clear ho jata hai or sath hi aapki post ko padne vale visitor ek post se dusri post par visit kar pate hai. jis se aapki site par visitor jada der tal rukta hai or Ager Visitor site par jada der tak ruke to uska benefit to aap jante hi hai.

5.     Write Long Lenth Article


Ji hai dosto, Ager aap Article ki lenth kam rakte hai to ye aapki site ki Bounce Rate bada sakta hai. Aapko minimum 1000+ words ka Article likhna chahiye kyuki above 1000 words article aapko bounce rate or SEO dono mai fayda deta hai. Ager aap 1000+ ka article likhte hai to Aap Jis bhi topic par article likh rahe hote hai us article ko deeply samjane mai lagbag 1000+ words to lag hi jate hai sath hi aapki site par aane vale visitor ko bhi us article mai jada se jada knowledge mil jati hai.

6.     Post Title


Aapko Post ka Title likhte time kayi basic baato ka dyaan rakhna jahiye. Aapko Post ka Title post se related hi rakhna chahiye aap meri is post ka title dek kar samaj sakte hai ki Post ka Title kaise likha jata hai. Ager aap Post ka Title sirf Visitor ko Attract karne ke liye Kuch bhi attractive title likhte hai or jo  post ke content se match nahi khata to aap apni bounce rate ko bda rahe hai. mai manta hu ki Post ka Title Attractive Likhne se aapke visitor badte hai par vo visitor bas aapki site ko open kar leave bhi jaldi hi kar jate hai to ager aapko Site ki bounce rate kam karni hai to aapko Post ka Title, Post Content se related hi rakna padega.


7.     Mobile Friendly Design


Jesa ki aap jante hai aaj ki date mai Computer/laptop se jada smart fone par internet use kiya jata hai or ab to google ne bhi mobile friendly design website ko mobile mai preference dena suru kar diya hai to ager aapki site ka design Mobile Friendly nahi hai to aapki site mai mobile se aane vale visitor ki sankhya na ke brabar hi rahegi or jab aapki site par visitor hi kam aate honge to aapki site ki bounce rate kam hone ka koi chance nahi hai. Aapko apni site ko jada se jada Mobile Friendly Design karna chahiye jo aapki site ki bounce rate or seo dono ke liye acha hai.

8.     Keyword Seletion

Aapko Article mai Keyword Selection ki impotance ka to pta hi hoga kyuki ager aap article mai sahi se keyword selection nahi karte hai to aapka article google search engine mai rank nahi kar pata. Aapko Article mai  topic se related keyword ka hi use karna chahiye or main topic keyword ko 3%  se jada use nahi karna chahiye. Ye bhi ek major factor ha jiska sahi se use kar bounce rate ko kam kiya ja sakta hai.


9.     Popup Ad 

Friends ager aap apni site par Ad use karte hai to aapko banner Ad ka use karna chahiye aap bhul kar bhi popup ad ka use na kare. Popup Ad aapke visitor ko irritate karti hai.Jaise maan lijiye aap kisi site par article read kar rahe hai to suddenly article par popup ad so ho jata hai  jis se aapka us article se dyaan hat kar popup ad par chla jata hai jis se aap irritate hokar us article ko hi leave kar dete hai. Popup Ad aapki site Loading speed ko bhi bda sakti hai jis karan aapki site ki bounce rate ka badna lajmi hai.


10. Easy Navigation


  Aapko site ka navigation easy rakhna chahiye iska maltab ki aapko site mai aise Template & Widget ka use karna chahiye jo visitor ko ek page se dusre page par easily navigate kar sake. Easy Navigation ka use kar aap bounce rate ko kam kar sakte hai.



Final Word..

Aap in sabhi step ko follow kar website ki bounce rate ko kam kar sakte hai. Ager fir bhi aap bounce rate se related or information chahte hai to aap comment ke jariye hamse discuss kar sakte hai.Aapki topic se related har sambav madad ki jayegi.


Aapko ‘Bounce rate kya hai or Bounce rate ko kam kaise kare’ post achi lagi hai to aap share karna na bule or jada se jada share kar hame motivate kare or hamse judne ke liye aap facebook page, Twitter, Google+ ka use kar hame follow kar sakte hai.




GyaniMaster.Com

No comments:

Post a Comment