Smart Fone ko Hang hone Se Kaise Bachaye
Smart Fone Hang Kyu Hota hai ?
Smart Fone ke Hang Hone ke
Bahut se Karan Ho Sakte hai par Jo Main Reason Hai unke bare mai discuss karte
hai. Ager apne fone mai heavy app use kiya hai to aapka fone hang ho sakta hai.
Ager apne fone mai heavy game use kiya hai to bhi aapka fone response slow ho
sakta hai ya fone hang ho sakta hai. Apne Ager fone mai aap use karne ke baad
aap ko sahi dang se log out nahi kiya to bhi aapka fone hang ho sakta hai.
Smart Fone nya ho ya purana lagbag sabhi fone mai ye problem aa sakti hai. kayi
baar fone memory khali hone ke baad bhi fone response slow ho jata hai, Khaskar
jab aap fone ko swipe karte hai to aapko ek leg najar aane lagta hai fone ki
screen par touch karne par bhi acha response nahi milta. Response Time Bad Jata
hai jis vajah se fone ko istmaal karne par bhi good feel nahi kar pate. Is ke
baad aap fone ki memory ya app delete karte hai, Lekin fir bhi hang problem ka
sahi se tik nahi ho pati. Aapko bta de ki Smart Fone Hang Problem ka Based UIE
yani user interface se juda hai.
Smart Fone Hang Problem ko Kaise Solve kare
·
Smart Fone hang
problem ko thik karne ke liye aapko Smart Fone ke Stock Feature yani jo Feature
fone mai inbuilt hote hai ya jo feature ya app fone ke sath aate hai unme kuch
change karna hoga. Andriod fone mai Animation Scale ka option hota hai, iske
ilava kuch Animation lenth, Animation Duration Scale, or Transition Animation
Scale type ke option hote hai. In mai badlav kar fone mai hone vale leg ko stop
kiya ja sakta hai. Is Feature ko on karne se pahle aapko Developer Access ko on
karna hoga.
·
Fone mai
Developer option Aapko Asani se nahi milega. Kyuki ye option fone mai hide hota
hai. Is option ko on karne se pahle aapko fone ki setting mai jana hoga. Yaha
aapko About Fone ka option milega. About Option par click karne ke baad aapko
Build Number ka option milega, ye todha niche hota hai. But kuch fone mai ye
option Software information mai jakar more option ke ander hota hai
·
Build option par
aapko 7 baar click karna hai. 7 Baar click karne ke baad apke fone par ek
message show hoga ki ab aap Developer ho gaye hai or Developer Option aa
jayega.
·
Ye option aapko
Bahar Setting mai About Fone ke uper milega. Kuch fone mai is option ko More
Setting mai bhi diya jata hai
·
Ab aap Apne fone
mai ho rahe leg, Slow Response ko katam
karne ke liye Animation Scale Mai Change kar sakte hai. Iske liye sabse pahle
setting mai jakar Developer option par click karna hoga. Is Section mai aapko
bahut sare option milege. Aapko toda scroll karna hai.
·
Scroll karne par
Aapko Animation Duration Scale ka option Milega. Aapko is Option par click
karna hai. Isme aapko window animation scale, Transition Animation Scale,
Animation Duration Scale Milega.
·
Tino option mai
jakar screen animation ko ya to kam kar de ya fir off karde. Ishe sath hi fone
mai leg related problem solve ho jayegi
Ager Aapko fir bhi lagta hai
ki abhi bhi fone mai Slow Response problem hai to aap fone ko restart kar de.
Iske Baad aap kud hi mehsus kare ge ki aapka android fone pahle se kafi fast ho
gya hai or Swipe bhi pahle se acha ho jayega, Sath hi touch Screen Response bhi
kafi achi ho jayega..
Final Word…
Is Post ko Follow kar aap
apne Smart Fone ki hang problem ko 100% solve kar payege. Aapko Smart Fone Hang
ke Solution par ye jankari kaisi lagi.Aap comment mai Vichar rakh sakte hai.
Ager ye Post pad kar aapko Kuch Nya sikne ko mila to Please aap is post ko jada
se jada share kar Friend ko bhi padne ka moka de…
No comments:
Post a Comment