Share Market Se Paise Kaise Kamaye
Hello Friends! Aaj hum aapse Share Market se related important
jankari Share kar rahe hai. Bahut se logo ke ye question hote hai ki Share kya hote hai. Share Market se Paisa kaise kamaye Etc.
Aaj ham aapko Share Market kya hai.
Share Market se paisa kamne ke liye kin kin bato ka pta hona jaroori hai se
related jankaari share karege. Aapko is Post ko last tak padna hai. Post ko End
tak Padne ke baad aapko Share Market se
related bahut si information ke bare mai pta chal jayega.
Share Kya hai ?
Share kisi company
ka hissa hota hai jise Company dwara hi jari kiya jata hai. Share ko Aap Paise
de kar karid sakte hai. Jab Aap Share Karid Lete hai to Jis bhi Company ka
aapne Share Purchase kiya hai vo
company aapko Aapke Karide gaye share ka Certificate deti hai.Share ki Value up
and down hoti rahti hai. Ager Company Profit mai jati hai to Share ki kimat bhi
Up ho jati hai or ager lose mai jati hai to down ho jati hai. Is hisab se ager
6 month mai Company ke share ki kimat Aapke karide gaye share se 25 Rs bad jati
hai to Aapko Share Bechne par Profit hota hai. Par Jaroori nahi hai ki Company
Ka Share Profit mai hi rahe. Kabhi Kabhi Share loss mai bhi Aa jata hai. Is
Situation mai Aapko Apne Share ko Hold par hi rakhna chahiye or share ki kimat
badne ka intjaar karna chahiye.
Crorepati कैसे बने
Share Ko Kaise Karide ?
Share ko karidne ya bechne ke
liye demat account ki jarurat hoti
hai. Aapke Karide ya beche gaye sabhi share ka hisab kitab ishi demat account ke jariye hi hota hai.
Share karidne se pahle aapko demat
account ko open karna jarori hota hai. Demat account kulvana bahut easy
hai. Demat account open karvane ke liya aap kisi bhi Share Broker (Dalal) ke
pass Chale jayen. Vo aapka PAN Card dekhkar aapka Demat Account Open kar dega.
Demat Account open ho Jane ke baad aap aasani se share ka Buisness kar payege.
Share ko Karidne ke liye aap
ushi brker ke pass jaye jha se aapne demat account open kiya hai. Share Market
Up and Down hota rahta hai. Aapko Share Tabhi karidna chahiye jab Share Bazaar Down
par ho. Share Bazaar ke Girne par hi aapko share ko karidna chahiye or Share
Market ke Up hone par bech dena chahiye.
Zerodha पर Demat Account खोले
Share Bazaar ka Kaam Kab Hota hai
Share Bazaar ka kaam Week
mein 5 din somvaar se lekar shukravaar ke bich mai hota hai. Share Bazaar Subah
9 Am par open hokar shaam ko 3.15 Pm band ho jata hai. India mai 2
Stock Exchange hai jahan se saare share bazaar ko control kiya jata hai. ye Hai
National Stock Exchange (NSE) or Bombay Stock Exacange (BSE).
Share Market se Daily Paisa Kaise Kamaye
Share Market se Daily paisa
Kamana difficult to jaroor hai par impossible nahi. Share Market se daily paisa
kamane ke liya aapko share market ki barikiyo ko samjna jaroori hai. Ager aap
Share Market ki Barikiyo ko nahi samaj paye to aapko paisa kamane mai difficulty
aa sakti hai. kyuki kisi bhi kaam mai tab tak success nahi milti jab tak us
kaam ki foundation se lekar roof tak ki jaankari nahi hoti.
Share Market Mai Daily paisa Kamane
ke liye aapko Subah share ko karidna or sham ko bech dena hota hai. Aapko bas
Broker ke pass jana hai or Share Bazaar ka Subah ka Baav puchna hai ki kon se
share sham tak profit mai rah sakte hai or konse loss mai. Maan lo Broker ne
aapko kisi company ka share bataya jiski kimat 100 Rs hai or Aapne 10 share ko
subah karid liya or sham tak un share ki kimat 110 ho gayi or aapne is kimat
par share ko bech diya to aapko 1000 Rs ka invest kar sham tak 100 Rs ka Profit
ho gya. Par ager Share ka baav badne ki vjaye kam ho jaye to aapko Share ko
hold kar lena chahiye or baav badne par hi bechna chahiye. Ishi Trah aap Share
Market Se Daily Paisa kma sakte hai.
Share Market se paisa kamane ke Important Tips
1.
Ager Aap Share
Market ke Loss se Bachna Chate hai to Aapko Share karidne se pahle Share Market
mai Trusted Company ka Pta Lagana Jaruri hai. Aap Share Market ke Baare mai
jada se jada knowledge badahe. Or Share Market se Related Article, Newspaper,
CNBC awaz jaisi Tv Channel ko Dekhna chahiye. Iske Ilava aap internet se bhi
share market par najar rakh skate hai or par day kuch nya sikte rahe or Jab
aapko Share Maket ka A to Z pta chal jaye tab hi Share mai invest kare.
2.
Jab Aapko Lage ki
Ab Share mai invest kiya jaye tab bhi kuch din ruke. Aap 5-6 company ko select
kare or unke share par najar rake kab share down par hai kab up par ja raha
hai. kam se kam 2 month tak aap company ki complete detail rakhe or ager ab aapko lagta hai share mai
invest karna chahiye to aap Selected Company ke share mai invest kar sakte hai.
3.
Jab aap starting
mai share Market mai share par invest kare to kam Rs mai hi invest kare. Kyuki
ek to aap Share Market mai New hai or Share Market ka kab Loss mai chla jaye kuch pta nahi hota or
ager aapne starting mai hi jada amount invest kar diya to aap loss mai bhi ja
sakte hai.
4.
Starting mai
share mai invest kar share ke profit mai hote hi bech dena chahiye.kyuki ager
aap profit ke jada lalach mai rahe ge to loss bhi ho skta hai.
5.
Share Market mai
Bahut se log baar baar invest karte hai par fir bhi fail ho jate hai . Unka
fail hone ka main reason vo apne paise ko sahi Share par invest nahi kar pate.
Share Market ki koi garanty nahi hai ki aap share mai profit hi kamaye. Share mai
profit ya loss sab company par depand karta hai. Ager Company ki value badti
hai ya company ko Profit hota hai tab hi aap profit kar payege otherwise loss
utana padega.
6.
Share mai loss
utane ka main karan Company mai Comptition ka hona hai kyuki bahut si company
ek dusre se aage niklne ki try mai rahti hai or jis vajah se company jaldi
jaldi loss ya profit karti hai. Aapko company ki history, value, product value,
demand , Etc par research kar hi company ka share buy karna chahiye tab aapke Profit
ke chance Ban jate hai.
Final Word..
Ager Aap in sabhi tips ko
follow kar share market mai invest karege to aapke profit ke chance bilkul bad
jayege. Aapko ye jankari kaise lagi Gyanimaster.com Team ne Puri Kosish ki hai
ki aap Share Market ki Kuch Important Factor ko is post ke Dwara Samaj paye..
Ager aapko ye post achi lagi
hai to please is Post ko Share kar apne Dosto ko bhi padne ka moka de..
No comments:
Post a Comment