Outlook Email Send ho jane ke baad kaise Roke
Friend Ager aapko 'Outlook Email Send ho jane ke Baad Kaise Roka' jata hai ki jankari nahi hai to ye article aap hi ke liye hai.OutLook Email Service ek
Email Sending Service hai jo Microsoft company ka product hai. Aap Gmail ki
Trah hi Outlook ka use kar email ko send ya receive kar sakte. Gmail ke jada
famous hone ke karan bahut se log Gmail service ka hi use karte hai. Par fir
bhi Kafi logo ka Outlook Email account bhi hai jiska use vo log email send ya
receive ke liye karte hai. Ager aap bhi
Outlook Email Service ka use karte hai to ye post aapke bahut kaam ki hai or
ager aap gmail ka use karte hai to hamari 'Gmail id se email sent ho jane ke baad kaise roke' post ko pade.
Email Send ho jane ke baad kyu roke ( Main Reason)
Friend’s Ager aapne koi
important email jaldi jaldi mai send kar diya or baad mai aapko pta chalta hai ki send kiya gya email to complete nahi tha ya
email kisi galat id par send ho gaya to aapke Dimag mai yehi question gumta hai
ki kaise is sent ho gaye email ko roka jaye. Kyuki kayi baar hamari important
mail ke galat id par send ho jane ke karan hamari important information kisi
unknown person ke hath lag jati hai or vo un information ka galat use bhi kar
sakta hai.Ishi liye kabhi na kabhi hame is situation ko face karna padta hai.
Ager aapko email sent ho jane ke baad rokne ka tarika aa jaye to aap ki ye problem
solve ho sakti hai. Ishiliye aaj ham aapko Outlook Email Sent ho jane ke baad
kaise roke ki Complete jankari de rahe hai.
Outlook mai kuch essi setting
ki jati hai jiske karne ke baad send kiya gaya har email ek timelimit ke baad hi
complete sent ho pata hai. Is setting ko karne ke baad 2 hour tak aap send email ko roke rak sakte
hai. Is setting ko karne ke liye niche diye gaye step ko folloe kare.
1.
Sabse Pahle
Outlook id mai login kare
2.
Login karne ke
baad File Tab par click kare
3.
File Tab par click
karne ke baad aap ‘ Manage rules and alerts’ par click kare
4.
Manage rules and
alerts par click karne ke baad aap ‘New Rule’ oar click kare
5.
Ab ‘ Start from a
Blank rule’ par se apply ‘rule on massage eye send’ par click kare or next
button dabaye.
6.
Ab aapko kafi
sare option dikayi dege. Aap in sabhi option mai se jo bhi aapko thik lage vo
option cun sakte hai ya fir direct next button par click kijiye.
7.
Next button par
click karne ke baad aapko fir se kayi sare option dikayi dege. Aap in sabhi
option mai se ‘Defer the delivery by a number of minutes’ dikayi dega. Aapko is
option par checkbox mai click karna hai.
8.
Checkbox mai
click karne ke baad ‘A Number off’ par click kare or bataye ki aap har email ko
kitne minute tak rok kar rakhna chahte hai. Aap 15 minute ko choose kar sakte
hai ya fir 2 hours tak bhi rok sakte hai. Ab ok par click kare and fir next par
click kare.
9.
Ager aap koi
notification chahte hai to bataye ya fir next par click kare.
10. Ab aap apni ki
setting ko koi naam dena chahte hai to vo bhi de sakte hai.
11. Ab ‘Turn on
this rule’ ke sath diye gaye checkbox par tik mark kare.
12. And last
‘Finish’ par click kare
Is Setting ko karne ke baad
aapke dwara send kiya gya har email aapke setting time ke according hi sent ho
Payega. Ager aapko lagta hai ki aapka send kiya gya email complete nahi hai ya
email wrong id par send ho gya hai to aap email send ho jane ke baad set ki
gayi timelimit ke according email ko rok sakte hain.
Final Word.
Gyani Master ne puri kosish ki hai ki
aap is setting ko ache se samaj jaye. Ager fir bhi aapko is setting ko karne
mai kuch problem aa rahi hai to aap comment box ka use kar hamse solution par
discuss kar sakte hain.
Ager aapko ‘Outlook email ko
send ho jane ke baad kaise roke’ Jankari achi lagi hai to please share jaroor
kare or Apne dosto ko bhi padne ka moka de..
Danyawad.
GyaniMaster.Com
No comments:
Post a Comment