Facebook Se Blog ki Traffic kaise Increase Kare
Facebook se blog ki traffic badane ke liye aapko
facebook ke bare mai vistaar se samaj na hoga. Tabhi aap facebook se blog ki traafic bada payege.
Kyuki facebook third party link ko allow nahi karta but kuch tips&trick ko
follow karne se aap blog ki 30% traffic increase kar sakte hai. GyaniMaster.Com
aapko kuch tricks ke bare mai btane ja
rahi hai par aapko is post ko end tak padna or samjna hoga. Tabhi aap blog ki traffic bada payege.
Facebook Kya hai ?
Facebook kya hai ye to aap
sabhi jante hai par fir bhi mai aapko facebook ke bare mai deeply information
de raha hu. Facebook dunia ki lgataar top rank par rahne vali social networking
site hai jiske founder Mark Zuckerberg hai. par kya aapko pta hai facebook itni
popular kyu hai. facebook ke popular hone ka main karan facebook ke feature and
branding and marketing hai. Jiska use kar facebook day by day new achievement
kar raha hai.
Facebook se Blog ki Traffic Increase Tips
1.
Timeline Post se
Blog ki Traffic Badaye
Friend’s
Aap Facebook mai apni wall par post to karte hai thik ishi trah aap apne blog ki jis bhi post
par traffic badana chahte hai us post ka link copy kar apni wall par paste
kare. Fir aap jada se jada apne friend ko tag kar post link publish kar de. Jis
se aapki post kuch hi minute mai viral ho jayegi. Par aapko ek baat dyan rakhni
hai aap kam se kam post link ko share kare. kyuki ager aap ek short time mai
jada link share karte hai to aapka fb account block ho sakta hai. one week mai
jada se jada 2 ya 3 post link hi aap
apni facebook wall par share kare.
2.
Friend Timeline
Par Blog Post Share Kare
Friend’s jese aapne apni wall
par blog Post Share karna sikha. Thik vese hi aap Apne friend ki wall par share
kar sakte hai par yaha bhi aapko post share limit ka dyan rakhna hoga galti se
ya jaanbuj kar ager aapne jada link share ki to aapka fb account blocked ho
sakta hai. Apne friend ki timeline par post share karne se pahle aap apne
friend ki permission jaroor le nahi to hoga ye ki aapke post share karne par
aapka friend aapki post ko apni timeline se hide bhi kar sakta hai ya fb mai
report bhi kar sakta hai. To app please apne friend ki permission ke bina koi
bhi post link friend ki timeline par na share kare.
3.
Facebook Group mai
Post share Kare
Ji ha dosto, aap group mai
bhi apne Blog ki post ko share kar sakte hai. blog post ko Group mai share
karne se pahle aapko group join karne hoge. Ager aap ne pahle se group join
kiye hai to acha hai par ager nahi kiye hai to apni site se related topic ke
group join kare or apni post link ko group mai share kar. Aap apni unhi post ko
group mai share kare jo us group se related topic par ho kyuki ager group
related topic se ulat apne kisi or topic par post link share kiya to aapko
group admin blocked bhi kar sakte hai. Link share limit to aapko yaad hi hogi.
Weekly maximum 4 to 5 link post share kar sakte hai. ager is se jada ki to
aapka acoount bloked hone ke chance ban sakte hai.
4.
Apna Group Create
kar post Share Kare
Jese aapne group join kar
post share karne ke bare mai jana. Thik vese hi aap apna group create kar usme
jada se jada member jod kar apne group mai bhi blog post link share kar
sakte hai .
5.
Blog se Related
Page mai Post link Share kare
Friend’s ager aapki site hai
to aapka fb page bhi jaroor hoga. Ager nahi hai to fb page jaroor create kare.
Facebook page kese create kare is par ham aapko apni agli post mai detail mai
bataye ge. Ager aapka fb page hai or aap fb page mai blog post share nahi karte
to aap apna 20% Social Traffic ka lose kar rahe hai. Fb page mai aap group or
timeline link Post limit se kahi jada link share kar sakte hai or aapka
facebook account ka bhi blocked hone ka chance kam rahega.
Final Word...
Aap in sabhi step ko follow
kar minimum 30% traffic Facebook se Receive kar sakte hai. par aapko in sabhi
step mai batayi limit ke according hai link share karni hai . ager aapne ye
limit todi to aapka facebook account blocked bhi ho sakta hai.
Ager Aap GyaniMaster.com ki
ye Post Achi lagi hai to please Share karna na bhule. Jaldi Se Apne Friend ko
bhi ye post padne ka moka de…..
Facebook campaign run karke traffic lane se Adsense pe koi effect hota hai
ReplyDeleteGeat Information
ReplyDelete