Facebook Messenger se Live Location kaise Share Kare
Friends, Aaj ka hamara topic Facebook Messenger se apni live
location ko kese share kare se related hai. Facebook Messenger mai Live
Location feature ka bahut se kam logo ko pta hai jo facebook use karte hai. Aaj
ham is article mai Live Location Feature ka Use karna sikege. Ji ha Dosto, Ager
aap kisi anjaane city, village, etc par hai or aapko apne friends, relative ke
pass pahuch na hai lekin aapko unki location ya address ka nahi pta to is situation
mai aap kya karege. Esi situation mai live location sharing feature ka use kar
aap easily is situation ko solve kar sakte hai or asni se apne friend, relative
ke ghar pahuch sakte hai. jis trah aap google map se live location share kar sakte
hai tik ushi trah ab aap facebook se bhi live location share kar sakte hai.
Kuch hi din pahle facebook messenger app ne live location
share feature jari kiya hai. Is feature ki Importance ye hai ki is feature ka
use kar user lgataar one hour tak ham apni location share kar sakte hai yani ki
jiske sath aapne location share kiya hai, vo person aapko 60 minute tak track
kar sakta hai. ye ek optional feature hai. is feature se aap apni location ko
jitne friends, relative ke sath share karna chahe to kar sakte hai. ye feature
bahut had tak apple map or google map ke
similar hi hai.
Ø Live Location Share Feature kese Activate kare
Live Location Feature ko Activate karne ke liye aapko hamare
bataye step ko follow karna hoga. Ager aap ne sabhi step ko ache se pad kar
follow kiya to aap bhi live location feature ka benefit le sakte hai.
o Sabse
pahle facebook Messenger App ko opne kare. App open karne ke baad us Contact ko
click kare jise aap apni location share karna chahte hai.
o Yaha
par aapko more option dikayi dega, jo plus ke sign ki trah hoga us par click
kare.
o More
option par click karne ke baad location plan ka icon dikayi dega. Aapko is icon
par click karna hai. jese hi aap location plan par click karege facebook
messenger aapki location ko access karne lagega. Location access hone ke baad
app live location ko share kar paayege
o Live
location Feature ke jariye aapke friends, relative 60 minute tak aapko track
kar payege. Or jab aapko lage ki aapko Live location Feature ko band karna hai
to aap stop sharing option par click kare. Click karte hi aapka Live Location
Share hona band ho jayega.
o Yaha
map par aapko stopwatch option milega. Is se aapko ye pta chlaega ki aap kitni
der tak location share kar sakte hai.
o Is
trah aap apni live location ko Apne Friends, Relative Ko share kar payege. Or
is ka benefit ye hoga ki aapko apne friend, relative ko easily correct location
par mill jayegi. Jis se aapko anjaan jagah par batakna nahi padega or aap
easily apne friend’s relative Etc ke ghar pahuch jayege.
Friends Aapko Jaankari kesi lagi.Ager aapko ye post pad kar
todha bhi fb se related advance gyan mila hai to is article ko apne friends se
jaroor share kare. Ager aapko Live Location Feature ko activate karne mai
Difficulty ho rahi hai to Comment mai bataye. Aapki Jaroor help ki jayegi.
No comments:
Post a Comment