Email Sent हो जाने के बाद कैसे रोके
Friends aksar ham se asi
galti ho jati hai ki ham koi important Email Sent kar dene ke baad hame pta
chalta hai ki jo Email Sent kiya gya hai usme kuch topic sahi se describe nahi kiya ya Email
Galat id par Sent ho gaya hai. Ham se galat Email Sent ho jane ke baad us mail
ko rokhne ki jankaari na hone ke karan hamari important jaankari kisi unknown
person ke hath lag jati hai. Baad mai ham pachtate hai ki kash vo Email hi send
na kiya hota to ye problem nahi hoti.
Friends Ham Aapko aisi galti
ho jane ke baad Email ko kaise roka jaye ki complete detail de rahe hai. Aapko
is article ko last tak padna hai. or ache se samjna hai. Ager aap ek baar ache
se samaj jayege to fir aapko ye problem face nahi karni padegi. Ager aap Gmail
use karte hai to ham aapko Gmail se Sent ki gayi mail ko kaise roke ki complete
jaankari is post mai de rahe hai.
Gmail Mai Send Ki Gayi Mails Kaise Roke
Ager aap Gmail Id ka use kar
Email Send karte hai or Email Sent ho jane ke baad email mai kuch Topic Adura
rah gya hai to aap Email ko Sent ho jane ke baad kuch time limit mai sent ho
chuke email ko rok sakte hai. Mai aapko gmail id mai kuch setting update karne
ke bare mai batauga. Jinka use kar aap email sent ho jane ke baad email ko
simply rok sakte hai. Or ager koi
important mail kisi wrong id par sent ho gya hai to bhi aap is setting ka use
kar asani se us mail ko rok sakte hai.
1.
Apni Gmail Id ko
Login kare. Gmail id login karne ke baad aapko Gearbox mai jana hai. Niche di
gayi pick dek kar aap ache se samaj
jayege.
2.
Gear box mai jane ke baad aapko aapko kayi option dikayi de rahi hai. Aap un option mai se setting name
option mai enter kare.
3.
Enter karne ke
baad aapko kayi sare option dikai dege. Aapko in sabhi option mai se ek option
Undo Send ka bhi dikayi dega. Niche di gayi pic mai dek kar aapko ache se samaj
aa jaye ga.
4.
Undo Send Option
mai aapko Enable Undo Send option par tik mark karna hai
5.
Undo Send Option
par tik mark kar aapko yahi par Send Cancellation Period ke sath diye gaye box
mai aap jitni der tak email ko Send hone se Roke Rakhna Chahte hai uske
according Second ko cun sakte hai.
6.
Ab aapko todha
Scroll Down karna hai. Scroll Down Karne par aapko Save Change option dikayi dega
aap Pic mai dek sakte hai.
7.
Aapko Save Change
par click kar ki gayi sabhi setting ko save kar dena hai. Save karne ke baad ab
aap bhi send ki gayi email ko easily rok sakte hai.
Ab se jab bhi aap Email Send
karo ge to aapko Email Sent ho jane ki
information ke sath Undo Sent Button bhi dikayi dega. Is Button par click kar
aap us mail ko rok sakte hai but aapko ye jaldi karna hoga kyuki maximum time
limit 30 second hi di gayi hai. Yani ki aapko 30 second ke bich mai hi sent ki gayi
mail ko rokna hoga.
Final Word..
Aapko ye jankari kaise lagi.
GyaniMaster.com team ne puri kosish ki hai ki aap ache se samaj jaye ki Kaise Email Sent ho jane ke baad roka jata hai. Ager fir
bhi aapko Setting ko karne mai koi paresani aa rahi hai to aap
Comment ka use kar ham se solution puch sakte hai.
Ager Aapko ye Jaankari achi
lagi hai to Please is Post ko Jada se Jada Share kar Apne Friends ko bhi Email send ho jane ke baad Kaise roka
jata hai ka Tarika Batahe .
No comments:
Post a Comment